Testo Introduction

Testo Introduction

नासदासीन्नोसदासीत्ता
दानीं नासीद्रजो नो
व्योमापरो यत |
किमावरीव:
कुहकस्यशर्मन्नम्भ:
किमासीद्गहनं गभीरं ||

Srishti se pehle Kuch nahin thaa
sat bhi nahin, asat bhi nahin
Antariksh bhi nahin, aakaash bhee nahin thaa.
Chhipaa thaa kyaa, kahaan, kisne dhaka thaa?
Us pal to agam, atal jal bhi kahaan thaa.

Srishti kaa kaun hai kartaa?
Kartaa hai va akartaa
Oonche aakash mein rahtaa.
Sadaaa addhyaksh banaa rahtaa.
Wohee sach much mein jaantaa.Yaa nahin bhi jaanataa
Hain kisi ko nahin pataa,
Nahin pataa,
Nahin hai pataa, nahin hai pataa.

हिरण्यगर्भः
समवर्तताग्रे भूतस्य
जातः पतिरेकासीत ।
स दाधार पृथ्वीं
ध्यामुतेमां कस्मै
देवायहविषा विधेम ॥

Voh tha hiranya garbh srishti se pehle vidyamaan.
Vohi to saare bhoot jaatee ka swami mahaan.
jo hai astitvamaana dharti aasmaan dhaaran kar.
Aise kis devta ki upasana kare hum havi dekar?

Jis ke bal par tejomay hai ambar.
Prithvi hari bhari sthapit sthir.
Swarg aur sooraj bhi sthir.
Aise kis devta ki upasana kare hum havi dekar?

Garbh mein apne agni dhaaran kar paida kar,
Vyapa tha jal idhar udhar neeche upar,
Jagarth Devon ka ekameva pran bankar,
Aise kis devta ki upasana kare hum havi dekar?

Om! Srishti nirmata swarg rachaiyta purvaj rakhsa kar.
Satya dharma palak atul jal niyamak raksha kar.
Phaili hain dishayen bahu jaisi uski sab mein sab par,
Aise hi devta ki upasana kare hum havi dekar,
Aise hi devta ki upasana kare hum havi dekar.
Testi di Gérard Manset